Saturday 20 December 2014

Kamee

Kabhi jeene ke liye zindagi adhoori reh gayi, kabhi marne ke liye maut kam pad gayi

Kabhi poore karne ke liye khwaahishe na thi, kabhi sapno ko poora karne ko neende kam pad gayi

Khidki se jhaanka to nazaare na thay, kabhi nazaaro ke deedaar ko nazar poori na thi

Mere ambar ko takte takte meri gardan akad gayi, mere paanv sote rahe aur neeche se unke zameen nikal gayi

samandar mei paanv rakha to waha banwar ban gayi, ret ka sahara liya to daldal nigal gayi

Maine chaaha to bahut par paaya kuch nahi, meri arzoo thi behad magar haasil kuch nahi

Na jaane aur kitni kamiyo ko abhi poora karna baaki hai, na jaane aur kitni meri koshisho mei shiddat baaki hai

Mai chal raha hu magar thake hue pairo se, ghayal zakhmi jism liye, ki abhi to pehle in zakhmo pe marham lagana baaki hai

Saturday 22 November 2014

Naadaan

Jharne ke paani ko khoobsoorat to keh gaye tum, kabhi uss se girte rehne ka dard samjha hai

Pehli baarish mei aati mitte ki khushboo pe muskura to diya tumne, kabhi uski halak jalaati pyaas ka soojha hai

Ek samandar hai jo chup chaap lehro ki ath-kheliyaan dekhta rehta hai, kabhi uss se uske toofaan ka kaaran poocha hai

Wo aasmaan bhi to kitni khamoshi se dharti ko badalte dekhta rehta hai, kabhi tumne uss amber ke barasne ka maksad bhi socha hai

Gar ho mumkin to chakh lena uss meethe jharne ka paani, shayaad tum samajh jaao ki kyu usne haar hai na maani

Afsos ki tum naadaan ho yu ki bas apni kar guzarte ho, hai duniya ye shwet syaah bas itna hi samajhte ho

Magar anjaan hai tu iss rang birange indra-dhanush ki maaya se, jo reh kar teri nazro mei tujhko hi dikhaayi nahi deta

Ab aankhei kholo pehchaano tum apni khud ki duniya ko, warna wo din bhi dur nahi

jab dharti seena cheeregi aur aasmaan tharrayenge, sagar bhi jaise ubal ubal ke mitti mei mil jayenge

Tuesday 18 November 2014

Qatl

Mere hashra ki daastaano ke charche hai jahaano mei

Kuch kehte hai gazab hoga, kuch sunte hai ajab hoga

Mai sunta nhi teri kahaaniya jo, mai karta nahi parwaah agar

Ye meri fitrat hai, ye mera jazbaa hai

To kyu tu vichlit hai mere sooraj ki chamak se

Kyu teri hai saans thamti meri aahat ki bhanak se

Mai tera bairi nahi, dushman nahi, na hi yaha koi ranj hai

Phir kyu liye khanjar hai firta, tu meri hasrat mei yun

Mashgool hu mai jung mei khud ki, tere liye mujhe waqt nahi

Hai duniya meri bhi teri, koi sultaan nahi koi takht nahi

Kar ke mujhe yu lahu-luhaan, haasil tujhe bhi kuch na hoga

Mere waqt se katal hua hu mai, tere khanjar se mujhko kuch na hoga

Tuesday 11 November 2014

Bedard

Mai behekta rha kadam ladkhadate rahe, Yun bhi kabhi zindagi zalzalo se ho kar guzari hai

Mai bharam mei raha ki kudratei mere ishaaro pe hai, Wo chhalti rahi mai hassta raha

Ghaayal hui ye rooh, chhalni hua mera aasmaan, Fikre gayi dum todke jab bairi hua ye jahaan

Par kyu mujhe taqleef nahi, kisi dard ka ehsaas nahi, Jism to ab bhi zinda hai, saans mei shaayad saans nahi

Par dard to jism ka hissa hai kabhi baahar se kabhi bheetar se,


Phir bhi ye baat ajab si hai, ki dard to hai par dard nahi

Monday 22 September 2014

Hinsak

Kuch iss kadar mai teri aarzoo se majboor ho gaya,

Na tere dar pe aa saka na khud ka thikana dhoond saka..

Ret ki manind mutthi se fisalti zindagi,

par pal dum todti, kabhi ret si hi beshumaar, bandigi

Hawaao mei behkar jaane kis dagar pe ja pahuchi, na manzil paas rahi, na raste yaad rhe

Darr hai kahi bawandar ye na ban jaye,

ki na phir hawa ke rukh ki parwaah ho, na raah bhatakne ka khatka

Bas chalna ho aur badhna ho, koi raah nhi na hi manzil.

Bas cheekhe ho sannato mei, unn kuchle jaane walo ki

Gharshan ho mere vaig se yun, ki titar bitar ho sab kuch hi

Friday 5 September 2014

Dard

Mai liye khanjar haatho mai, tujhe lakeero mei dhoondta rha
Tum liye pankh Mor ka pankh meri Shakhsiyat bikherte rhe,
Katra katra, harf harf, ye khwaab pighalte rhe, tum baraste rahe ghar jalte rhe
Tum sayaane mai diwaana, bas tumhi apne aur mai begaana
Isi aasmaan par varchasv ki talaash mei, bana baithe tum apna aashiyana
Kuch parinde bheje h maine, dum todte phir bhi udte, bas aakhri baar ye kehte
Jin aasmaano ki zameen nahi hoti, unpe aashiyaane basar nahi hote

Friday 1 August 2014

Tabaah

Deemak ban k galaa gye uss ghar ki har deewar ko sab,

Wo neev bhi kitni bebas thi uss ghar ki laash mei dabi rhi par tiki rhi bas tiki rhi

Ye jism bhi har pal galta h, kabhi baahar se kabhi bheetar se

yaha dard hi thay jo bane rhe zakhm to kab ke guzar gye, na jism bacha na nishaan bache

Wednesday 23 July 2014

Jhijhak

Kabhi patthar si zanjeerei jo tod bhi jaata.. agar koshihsh jo ki hoti

Wo paani ko mai dharti pe bhi barsane yun le ata.. laga di aag jo hoti

Wo panchhi ko mai pankho ko yun failana bhi sikhlata... udaano ko thaherne ki mohlat jo di hoti

Kabhi thirkan kabhi nagme, wo yun pair ka thakna.. kabhi karta aur mastata, thodi besharmi jo hoti

Wo mere khwaab thay chhote naseebo ki kitaabo mei.. wo poore kar ke le aata.. kabhi saazish jo ki hoti.

Wednesday 16 July 2014

chakra

Ek dard ki basti hai, kuch gam ke andhero mei.. waha dhalta saaya hai, maddham se savero mei

Ambar ye sindoori hai, wo gehri raat se pehle.. Kuch sard se lagte hai, baadal hai jo yun faile

Thithakna paanv ka mere, teri aahat si lagti hai.. tujhe paake tujhe khona meri aadat si lagti hai

Hai ye raste bade lambe, mujhe chalna hai ab jinpe.. ki ho girna ya bas uthna, sabhi manzil si lagti hai

Tuesday 8 July 2014

Gunaah

Ashqo mei seelay thay jo gunaaho ke kisse,
armaano ki garmaahat se phir kurkure ho chale

Pachhtave ki aandhi ko simta paaya phir khwaahish ki botal mei,
rishto ki dor ko khulte dekha unn aankho mei kuch chehro mei

Aakarshan hai gunaaho ki fitrato mei, samay ke paar bhi parchhayi bane rehte hai

Shakhsiyato ko dhakte nigalte gunaah, marghat ke sannato se,

Hasste hai sab veeran kara kar, azaano aur shankho ki cheekho ko keh ke bas ek shor baraabar

Chal padte hai phir sar uthane, ek nayi khwaahish ki talaash mei, ek nayi Shakhsiyat nigalne

Wednesday 21 May 2014

vichran

Dard ki dukaan pe jazbaat khule aam bikte h, jazbaato ki angithi pe phir insaan sikte hai.

yaha sanak chahiye beparvaah jeene ke liye, warna sab sayaane ab paagal hi dikhte hai.

Deke aag khwaabo ko jala do dard ki hasti, ki jaane sab jahaan mei ab khwaabo mei h jaan basti.

Phir aao mil ke khelenge kabaddi hum gunaaho ki, paale badlenge khul ke fikar na pakde jaane ki

Saturday 10 May 2014

Ladkhadahat

Ghutno ke bal chalte phirte, mitti ka tha swaad chakha..
Aaj pankh laga udte hai hum, par baadal mei wo baat kaha..

Udte udte aasmaan mei dharti ka paya roop naya, par samajh ki baat yahi bas gar pyaar kahi thoda sa hai, to rang hai kya aur roop hai kya...

Jaanu sab par anjaan hu mai ya ban baitha anjaana sa, oonchaiyo ki khwaahish mei dharti mai begaana sa

Baarish hai chakh li aur bijli bhi, kiya baadalo ka naashta, phir bhi mitti ka swaad nahi, lage rookha sa kyu raasta

Kya waapis dharti pe mud jau, ya ooncha aur nikal jau.. jaha dharti ki gehrai mile ya baadal pe parchhai bane

Thursday 24 April 2014

shithil

Bhaari mann, bojhal dimaag aur doobti si ye aankhen... jaise samandar lene lag pada ufanti mujhsi saanse

Kabhi lehro ki oonchhai se kabhi paani ki gehraai se, apni hassti bayaan na krke bhi kr deta hai

Jaise kabhi hass ke kabhi chup reh ke, mai  rehke khud se anjaan apni haalat chhupa leta hai

Pal prati pal badhte samandar ke toofaan hawaao ka rukh pakad lete hai,

Jaise apni hi raftaar mei ghamo ki mauj leta ye mann bhatakta rehta hai

Ajeeb si gehrai h samandar ki, gar doobata hai to kabhi khazaane bhi deta hai

Aur kitni veeraan hai samandar si ye soch,  ukerti bikherti khayaalo ko roop deti

Kabhi maut si Khoobsoorat to kabhi khazaano se lathpath

Tuesday 22 April 2014

Prayatn

Ta-umra mai aasmano pe garajta rha, wo baadalo ke zariye mujhpe barasta rha..

Mai tehniyo pe patto k khilne ke intezaar mei rha, wo patjhad jaise vriksh ka naseeb ho gya...

Mai dharti ki god mei garmaayi dhoondta rha, wo tapti rhi aur mai jalta rha...

Iss sabr ka imtehaan na jaane aur kitna baaki h, haarna to aata nhi,

haan! Bas kisi din jeetne ki dhundli ummeed baaki h.


Monday 31 March 2014

RANG (colors)

Kuch dhundli si yaadei h tasveero mei, Rang jinme hum milke bhara karte thay

Wo rang hi kachhe nikle ya ashqo ka tezaab tha, jo tasveerei to rahi par yaadei dhundli ho gayi

Kudrat ke naqshe pe aasmaan ro ke bhi nit naye rang bhar diya karta hai, Raigistaan ko Sooraj jalaa kar bhi sunahra bana diya karta hai

Phir kyu insaan ro ke, jal ke, jalaa ke, zindagi ko badrand kar liya karta hai, jaha sab kala hai ya sab safed

Wo kehte hai humei haraa rang pasand hai jo uss tasveer mei nahi, uss tasveer ka rang laal tha to kya wo khoobsurat hi nahi?

Kalaakaar ne jo rang bhare, wo bas rang nahi jazbaat bhi thay, karke badrang tasveer ko tumne khud socho kya kar dala

Ab kehte ho jeevan mei rang nahi, kaale safed mei koi umang nahi, mai kehta hu gar sawaanr ke rakkho rango ko, koi bhed na ho. koi ranj na ho

To kya badrang aur kya rangeen, sab karte bayaan daastaanei haseen, na tasveerei phir dhundli ho aur yaadei bhi paa jaaye zameen 

Thursday 13 March 2014

Antardwand

Kuch Kudratein Kuch Fitratein, Kuch Kudraton ki Fitratei. Kabhi Bhookh hai, Kabhi Pyaas hai, Kabhi Jism mei na Shwaas hai

Kabhi Sooratei Kabhi Mooratei, sab bandigi ka andaaz hai.

Kahi Daulatein Kahi Shohratein, Kahi Maqsadon se uthi Hulchalein. Sab Mod hai ye Raahon mei, Kehlaate hai kyu Zalzale

Wo karte hai sab guftagu wo Goonge Aasmaan se kyun, Jo Ashqon mei dubo baitha Samunder keh ke Dharti ko

Kyu rehte hai Andhere mei Ujaala jab ho Sooraj ka, Kyu karte Chaand ki Khwaahish hai jiska kaam Sheeshay sa

Mai hu Thehra panaaho mei jo hai Rooh ke Qaatil, Hai Bheed ye Sayaano ki, Kuch Kudrat ke Kuch Fitrat ke.