Kuch katre aasmaan ke, kuch boonde baarisho ki,kuch tukde
zameeno ke, kuch chingaari aatisho ki
Lekar sabko saath mei apne chal pada phir ghar se yun, maano
bisaat bichha ke nikla hun apni khwaahish ki saazisho ki
Darr nahi mujhe anhere ratso ka, khauff nahi mujhe veeraan
bastiyo ka, samandar ki lehre mujhe daraati nahi ki sahara nahi mujhe kashtiyo
ka
Bas chalte jaana apni manzil bana liya maine, ki safar mei
rehta hu ki rukna nahi ab faisla mera
Inn raho pe kuch log aise mil bhi jaaya karte hai, jinhe ilm
nahi kisi manzil ka na hi raste ka koi dhyaan hai
Unn logo ko mai banke jwala raste dikhata aya hu, shayad ye
hi karne nikla tha, aur ye hi karta aya hu
Phir kyu mujhe milta nahi kisi dar pe koi bhi sukoon, har
dar se kyu mai thokar har pal hi khata aya hu
Phir bhi kyu itni jaan hai, mere hausalo ko armaan hai,
bhari baarisho mei khud ki hi chhaaya sukhata aya hu
Kyu ziddi hai itni ye meri, chaaya hai mera darp hai,
kecchad se lathpath paaon hai aur mei joote sukhata laaya hu