Friday 4 December 2015

Raakshas

Cheekha tha chinghaada tha, tha bebas mai laachaara tha, mai aadam tha mai tha naazuk, mai kismat ka bhi maaraa tha

Pal pal jeevan ke khel ko kuch, mai aise jeeta aaya tha, jo mila usi ko jita diya, aur khud se khud ko haaraa tha

Aankhei hai laal sadiyo se meri, jism pe kitne chhaale hai, baalo se lambe naakhoon mere, chamdi pe dhabbe kaale hai

Dham dham kar chalta jaata, mere jism uth ti badboo hai, mere wazan se dharti dol uthay, meri jeebh saanp se lambi hai

Kar lunga pravesh mai duniya mei ab, doori thodi hi baaki hai, bas kuch pal aur safar hai baaki, phir darne ki teri baari hai

Mai aadam tha to poore jeevan bhaybheet raha uss raakshas se, jo mere andar rehta tha, baahar aane ko kehta tha

Mai Geeta padhta rehta tha, par bebas phir bhi rehta tha, aa jaaye na baahar galti se tu, mai gumsum ghooma karta tha

Sashakt nahi ab itna mai, uss raakshas pe kaabu pa paau, ab waqt bhi chahta hai mujhse, wo raakshas mai hi ban jau

Sunday 29 November 2015

Nishaan

Chappal sani hai dhool mei meri, ghar ke safed farsh pe padte hai nishaan ye kaale se

Maano kar rahe ho bayaan mere gehre safar ki daastaan, ye patthar jo hai kuch ujaale se

Paani ne dho diya hai mere pairo pe chipki kaalikh ko

Ek chamak hai dikhti talwo pe, maano ye jism ek haseen safar ka maalik ho

Wo safar jo hamesha bas khushiya hi deta aya yo, wo safar jo har ghadi bas sukoon ki nayi daastaan ho

Par ilm hai mere jism ko uss safar ke har tajurbe ka, bas zubaan nahi hai jism mei uss dard ko bayaan karne ki

Wo dard jo mere seene ko har pal tharraya  karta hai, mazboot banaya karta hai

Wo dard jo diya bedard ne ek, jo bilkul mere jaisa hai. Na pataa tha ye na hi maloom mere aks mei wo hi dikhta hai

Mera aks jo uski sohbat mei ban baitha bilkul uss jaisa, uski aahat mei garmaahat mei wo bedard hua phir uss jaisa

Aur kyu kosu mei usko ab, jab hai wo yaha mere jaisa, mujhse mujhko milwa kar wo hai ban baitha anjaana sa

Par khata nahi ye bhi uski, usko bhi safar mei rehna hai, Jaha jo bhi mile usko uss se bas aage badhte rehna hai

Ab saath chalo ya dur raho, ab hai ye tumhari hi marzi, bas nishaan na ho kahi pairo ke, uss farsh ko rakhna  chakmak hi

Sunday 11 October 2015

Sabr

Andhere se jungalo ke patto mei bhi aasmaan bikhra dikhayi deta hai

Unn tehniyo se utarti belo mei tera naam likha sa dikhayi deta hai

Faaslo ke darmiyaano mei safar karta dikhai deta hai

Ye manzil ke rasto pe hai yu chalta dikhayi deta hai

Ye wo manzil jo le pahuchi mujhe jungle ke soone rasto pe

Hu pyasa mai na kuch haasil, tatola kuch na nikla hai mere kandho ke basto mei

Par belei jo dekhi tere naam se ugti, hai thankdak si yun seene mei

Khuda ka ghar hai ye mere, sukoon aya hai jeene mei

Thoda aur chalna hai, kadam hai teri ore chalte

Ki kaante na hi chubhte ab, naa hai ye chhale shor karte

Jannat ko pana hai tere aaghosh mei aake,

Ki kab tak narq se guzru, tere armaano ko mai paale

Saturday 3 October 2015

Atham

Lapak ke leti baaho mei, jo bhi milta usko ye lapat,

Sab jal jaate garmi se uski, ae aag teri sohbat h galat

Har kisi ka apna rasta hai, tujh ko jeevan mei laane ka

karte hai guzar teri lapto pe wo, aur soche rasta unhe bujhaane ka

Shakhsiyat hai teri kaaboo se baahar, sab ho jaate tujhse bhaybheet

Yaha teri marzi chale nahi, kaam na aaye koi tarqeeb

Par faraq nahi tujhe bhi padta, har baar lapak ke aa jati

Wo jitni baar bulate hai, wo utni baar bujhaate hai

Tu jalti jaati, hassti jati, ghulaam si ban ke reh jati

Kyuki gyaat hai tu ek sach bas, jus din tu zidd pe aayegi

Na raakh bachegi na nishaan kahi, duniya kadmo mei aayegi

Sunday 27 September 2015

Dridh

Deewangi hai ishq mei, junoon sa sar pe rehta hai

Na sunayi de na dikhayi de, tu apni hi dhun mei rehta hai

Fanaa hue parwaane kitne uss jalti hui shamaa k liye

Wo jalti rahi pighalti rahi, uff na ki, bas roshan hi rahi

Kitne katre uss mitti ke hai khoon se lath-path yaad nahi,

Bas banjar hoti dharti ko patthar ye pukara karta hai

Aa ho jaa dulhan, tu phir se sawar, mai mita du apni hassti bhi,

Ek teri hariyaali pe parwat ko bhi kar du mai zameen

Kyu ajab se hai kisse ye sabhi, jo chaha hai paaya hi nahi

Bas aas hai aage badhne ki, ek chaah hai sundar kal ki abhi

Wo kal jo tera mera ho, jisme ho baatei teri meri

Hum ho na ho parwaah hi nahi, bas ishq ho aur tu aur mai,

Ho jaye samay jaha bematlab, Koi roop nahi aakaar nahi, iss ishq mei manzil haasil wo, pahuche jismo ke paar kahi.

Wednesday 16 September 2015

Bhayabheet

Dagmag dagmag chal chal chal chal, Thar-thar Thar-thar pal pal pal pal

Kyu tu aise ladkhadaata, kyu hai aise darta jaata

Kal-kal Kal-kal nadiya karti, Dham-dham Dham-dham jharne girte

Kyu tujhko ye shor hai lagte, kyu badhte teri ore hai dikhte

Garaj-garaj phir aya baadal, Chham-chham Chham-chham barsaatei

Par tu apne ghar mai band hai, deewaro se krta baatein

Chal nikal baahar aur dekh zaraa kudrat ye kitni nyari hai, aa kadam badha chahe gir ja phir, mitti ki god bhi pyari hai

Bas ruk mat tu aur darr mat tu, ye thakne ki na baari hai

Ja ho ja gum phir khwaabo mei, manzil ko raahein saari hai

Saturday 5 September 2015

Prithak

Khidki se aati dhoop se neend khuli abhi meri, aankho ke pardo ke paar kirne jab pahuchi ye teri

Ek mujhko bas jagaane ko kitna oopar tu chad aya, dar pe na dastak di tune, khidki se andar ghus aya

Tera laga nahi mann mujh bin phir se, ek aur naya din de daala

Kya adaa hai teri O sooraj har dar pe roz pahuchta hai, na rukta hai na thakta hai bas chalta phirta rehta hai

Tu bhi shaayad mere jaisi baichain rooh ka maalik hai, jo rehta sultaan ki maanind, par ghulaam hai apni baichaini ka

Eendhan hai ye baichaini jo, hum dono ke aage badhne ki, na rukne kahi pe deti hai, na hi hai thakti ek pal bhi

Aag hai tujhme mujhme bhi, har kisi ko lagte uble se, par jhulas na jaye duniya ye, isliye to rehte prithak-prithak se

Bas dur dur se sabko apni garmaayi de dete hai, anjaan rahe ya wo ho gyaani, chaahe pooja kare ya beimaani

Iss duniya ko. inn logon ko, bas ektak dekha karte hai, kabhi taap se kabhi bhaap se, ujjwal karte rehte hai

Bas thoda aur sabar kar le mai bhi ek din phir aaunga, baadal ki khidki se ghus kar phir mai tujhko jagaunga

Phir karenge baatei jee bhar ke apne apne kisso ki, aur baatenge thodi si chhaya apne apne hisso ki.

Saturday 22 August 2015

Saathi

Kuch teri kuch meri kahaani hai ye ek jaisi

Adhoora tu adhoora mai, hai khaali tu hu khaali mai, khud ko poora karne ki koshish bhi hai ye ek jaisi

Teri khwaahish hai dharti ki, mujhko taare paa lene ki

Tu baras baras kar pyaar jataata, mai baatei kar ke taaro ki

Ae aasmaan mujhe ye to bata, tujhsa hausla kaha dhoondu, taaro se saji uss duniya mai kis kadar akela rehta hai

Aur Mai dharti pe rehta hu, taaro ki khwaahish karta hu

Teri baarish hai mujhko bhaati, meri baato pe tu hass deta

Ye rishta bana jo tera mera, isay dard kahu ya ye hai jazbaa

Tu dekh meri parchhai ko ispe, dharti ki pyaas bujhata hai

Aur baaho mei teri in taaro ki chamak se mai kar leta duniya rangeen

Ek din mai tujh tak aaunga aur apna haath badhaaunga,

Phir dekhenge hum dono mil ke ek dooje ki haatho ki lakeerei

Agar badal sake ek dooje se to kush ho tu aur khush mai hu,

Warna phir baadal ban ke mai tera hi saathi ho jaunga

Barsunga teri dharti pe, mere taaro ko chhoo kar aaunga

Sunday 9 August 2015

Antardwand dobara

Sajde karte thak gaye sar, dua maangte meri mazboot kamar

Jo bhi tha mera kho gaya, jo bhi chaha wo bhi muskurata hua dur ho gya

Jag saara mere kis kaam ka jab tu hi na ho meri duniya mei

Rab humara bas naam ka jab qubool na kiya usne tujhe duaao mei

Aaj akele baitha hu, tujhse milne ki khwaahish mei

Wo bhi tab jab bita aya apna har lamha tujhe bhoolne ki saazish mei

Tum unki shikayat karte ho jo nasamajh hai teri adaayo se, samjhdaar ho kar kaunsi maine tum pe fateh haasil kar li

Bas gam isi baat ka hai ki tumhari iss khushi mei mujhe gam ka ehsaas hota hai

Samjhaata to hu tumhe khush rehne ko, par har dum tumhare ashq se dil ye hi sawaal karta hai

Jab juda huye thay to vishwaas tha ye ki khush reh loge tum apni duniya mei, phir kyu iss kadar baichen ho tum, aur iss qadar beqaraar mei

Baichani kisiko paake na kho do tum,  bekaraari mujhe phir se kisi mei na paa lo tum

Monday 27 July 2015

Sach

Kis kadar jhooth se lathpath ho chale tum, ki sach ke rang ka koi ilm hi nahi bacha

Wo sach jo tumhari aur meri haqiqat hai,

Wo sach jo nanga hai, ek bachhe ki tarah

Wo sach jisko tumne kabhi jaana hi nahi, bas yunhi chhor diya nadaan samajh ke

Par nadaan kaun hai kabhi socha hai ye, kabhi gaur kiya hai inn betahaasha daudti dhadkano pe

Kabhi nazar aayi tumhe inn bechain si aankho ki veeraaniyaa, uss raftaar ko maat deti zubaan ki khaamoshiyaa

Kabhi aayengi bhi nahi, shaayad kyuki wo hoke bhi hai hi nahi

Tumhe inka ehsaas iss kadar dilana chaahta hu, ki kuch kahe bina sab kuch batlaana chaahta hu

Wo jo mai har pal keh kar bhi na keh saka, ki wo jab mai tera dushman ho kar bhi na reh saka

Wo sach jo mere hotho tak aya nahi, wo ehaaas jo tere darp ko kabhi bhaaya hi nahi

Wo jhooth jo mera muqqaddar ho gaya, aur wo sach jo humara muqqadar ban gaya

Kitne alag hai ye dono sach, ek tera ek mera, ek hi mitti ke ho kar bhi paale badal liye

Ye sach, haan sach, jo tujhse tere khwaab le gaye aur mujhse meri zindagi

Sunday 19 July 2015

Rastaa

Chalte chalte raah mei apni kuch kho aaya kuch paane ko. Aur takte takte manzil ko apni, rasto ka lutf bhi na le paya

Kaisi thi rasto ki soorat, kitni doori kar li tay maine, na gumaan koi na hi parwaah bas manzil thi meri nazro

Wo manzil jo rehti thi kahi, waha dur zameen-gagan ki baahon mei, wo manzil jo na kabhi milni thi bas soch thi ek armaano mei

Raste mei kitne log mile kuch bhatke raah kuch takte manzil, wo bhi sabhi mere aks hi thay, sab kho baithe na kuch haasil

Meri dharti ab apne ambar ko pyaasi aankho se takti hai, kab barsega wo baadal phir bas ye hi socha karti hai

Ab waqt hai apni dharti ka neela ambar mai ban jau, manzil ko apni bhool ke bas rasto ka qaidi ho jau

Phir nazaare shaayad dikh jaaye aur rasto ka mai lutf bhi lu, kya kho baitha aur kya paya inn sabse upar uth jau.

Monday 13 July 2015

Yaad

Kab se baitha hu aas mai, tujhe bhoolne ke rasto ki talaash mei

Raah takte takte ek sadi hui, na tu ayi na teri yaad gayi

Ye kaisi daldal hai, ye kaisi maya hai, jo na meri manzil hai na meri humsafar;

phir bhi kis qadar mera muqaddar ho chali hai

Apne raste pe nazrei tikaaye chale ja raha hu, jaanta hu kya chaahta hu, kis disha mei apne kadmo ko badhana hai

Phir bhi kyu mera har kadam bas teri ore hi uth-ta hai, aur mere saare ye rastey tujhme kyu manzil paate hai

Mai jaanta hu tu ab raqeeb ka naseeb hai,
phir bhi na jaane kyu ye baahei bas tere naam pe khulti hai,
phir bhi na jaane kyu ye saanse bas teri aahat pe chalti hai

Tujhe paane ki ab bhi koi khwaahish nahi, lekin tujhe kho kho dena kasam khuda ki meri saazish nahi

Aaj bhi mera suraj tere chehre se chadhta hai, aaj bhi meri raatei tera hi pukara karti hai

Mai jaanu na mai kya chahu, tujhe paa lena tujhe kho dena,
par tujhe kho dene ka gam tujhe paane se kuch jyaada hai.

Wednesday 8 July 2015

Talab

Chamakte taaro ki roshni se thak kar, hoon ab chal nikla mai ujle baadlo k raste

Jaanta hu meri pahunch na thi sitaaro ki, meri aukaat nahi aasmaano ki

Par ek khoobsurat khayal to hai meri toot ti si ummeedo ko sahara deta

Kuch khaas nahi bas yunhi kisi ko manzil bana lene ki khwaahish sanjota

Mai jaanta hu iss zameen pe chalte jana meri taqdeer ki laqeerei hai

Par yun kabhi anjaan se rasto pe kho jaana, kaunsi laqeero ki taqdeerei palat deta hai

Ye khayaalat in  panno pe mere haalaat bayaan nahi karte hai,
par mere haalaat hi inn panno ki tasveero mei rang bhara karte hai

Mai khush hu khud se sab kuch kho kar bhi, ki ehsaas hai mujhe har pal ye,

jisse kabhi paya hi nahi ussay khone ka gam kaisa,
ye aankh mei meri ashq nahi  bas ektak tujhko takne se mehsoos hua kuch nam jaisa

Thursday 18 June 2015

Zidd

Kuch katre aasmaan ke, kuch boonde baarisho ki,kuch tukde zameeno ke, kuch chingaari aatisho ki

Lekar sabko saath mei apne chal pada phir ghar se yun, maano bisaat bichha ke nikla hun apni khwaahish ki saazisho ki

Darr nahi mujhe anhere ratso ka, khauff nahi mujhe veeraan bastiyo ka, samandar ki lehre mujhe daraati nahi ki sahara nahi mujhe kashtiyo ka

Bas chalte jaana apni manzil bana liya maine, ki safar mei rehta hu ki rukna nahi ab faisla mera

Inn raho pe kuch log aise mil bhi jaaya karte hai, jinhe ilm nahi kisi manzil ka na hi raste ka koi dhyaan hai

Unn logo ko mai banke jwala raste dikhata aya hu, shayad ye hi karne nikla tha, aur ye hi karta aya hu

Phir kyu mujhe milta nahi kisi dar pe koi bhi sukoon, har dar se kyu mai thokar har pal hi khata aya hu

Phir bhi kyu itni jaan hai, mere hausalo ko armaan hai, bhari baarisho mei khud ki hi chhaaya sukhata aya hu


Kyu ziddi hai itni ye meri, chaaya hai mera darp hai, kecchad se lathpath paaon hai aur mei joote sukhata laaya hu 

Thursday 28 May 2015

Kshitij

Parvat ke paar kshitij se peeche hoti hai kya duniya bhi koi, Ye hawaa wahi se chalti hai kya, aur ghoome phir duniya wo meri

Ye rimjhim rimjhim barsaatei aati to hai par jaati hai kaha, kya saagar unke saathi hai jo le laye unhe dur wahi

Sooraj ambar pe ruk jaata par kirne chalti jaati hai, thakti hai kaha ye kirne jaakar, hai raaz chuupa kshitijo mei kahi

Mai bhi kabhi pahuchu paar waha, ye soch ke mai chalta jaata, aur dekhu ek sansaar naya, aankhei apni malta jata

Pairo ko deta roz naye chhal, kadmo ko raahat ke Sapne, Ki ek din to wo ayega jab mil baithe dharti ye gagan

Uss kshitij ke paar mai pahuchunga,  ki jab rakhunga waha mai kadam. Waha unn sapno ki duniya mei, Jaha haar jeet mei farq nahi, jaha dur paas ki fiqr nahi, jaha sab kuch mere jaisa ho, sab ek jaisa phir bhi ho naya.

Phir leke apne hothon pe geeli muskaan mai ghoomunga, aidhi bhi naram ho jayegi, pairo ki thakan bhi miti miti.

Wednesday 15 April 2015

Muskaan

Ye jo chamak raha hai mujh pe hai rang tera kesariya,

Jaise kaale oonche baadal pe ho sooraj aakar thehra.

Phir chamak uthi har disha se jaise rang birangi phuljhadiya,

Ye indradhanush teri maya hai kya jo rangeen samaa karne nikla.

Dharti ki pyaas bhi bujhi bujhi, jaise ambar aakar barsa,

har soo hi meethi kushboo si, paani ne jo mitti ko chhua.

Ab nit naye ankur phootenge aur paaon ke neeche zameen haree,

talwo ke deti thodi thandak, aankho mei bharti khwaab kayi.

Wednesday 11 February 2015

Saath

Karti rahe shararatei lehrei samandar se, samandar bhi bharke aaghosh mei unhe nihaarta raha

Hum bhi unki yaado se aise hi guzaara karte hai,  Kayi Sadiya hui raah takte takte, bas ye hi pukara karte hai

Iss Gham se apni apni duniya bahut basa li, tumne bhi aur maine bhi

Ab saath agar tum mere ho, hothon pe bas muskaan liye, to na parwaah phir duniya ki, na waqt ke lambe rasto ki

Ki kar paaye na judaa humko, na maya bhi na qayamat bhi

Tuesday 10 February 2015

Mrit-Aakansha

Mere ghar ke kamro mei pasra itna sannaata kyu hai, charmaraate darwaaze bhi khaamosh se baithe hai

Aangan mei khelti dhoop na jaane kaha ghum ho gayi, tulsi ke khile paudhay ab veeraan se rehte hai

Chabootaro ki wo garm zameen thithurti kyu rehti hai, kabhi sheeshay si saaf zameen ab pathraai si lagti hai

Mere baagon ke phoolon pe ye kaisa patjhad hai mandraaya, ki sard jism se latak rahe hai har tehni aur har shaakh se sab

Pedo pe tange unn jhoolon ko bhi madmast hue ek sadi hui, Ab hawaa hi bas jhinjhorti hai toofaan ka ishaara karne ko


Bas aas ye hai ki kabr mei meri murda jism hi rukhsat ho, kabr ke mere patthar ko zinda hai abhi na barqat ho

Friday 2 January 2015

kohra

Bistar ko liye inn kandho pe, khaali haath mai nikla tha

Sard andheri raato se bachta, ujli subaho ki talaash mei phirta

Kabhi haath aye kuch jalte jugnu, kabhi uddte dekhe bebaak parinde

Kabhi sehmi si veeraan dagar thi, Kabhi roshan thay meri manzil ke rastay

Phir chalte chalte ja pahucha mai gehre kohro ki panaah mei, socha tha baadal hai ye to jo le jaye mujhe neel gagan mei

Kya fitrat thi uss kohre ki, jo ujla hai par dhundla hai.
Jo koi usme utar gaya wo khoya hai na nikla hai

Mai hoon uss se anjaan abhi tak, aur khush hu baadal ke bharam se. Jo na chhat-ta hai na nigalta hai, bas bebas sa kar deta hai

Phir bhi thodi se aas hai,  shaayad baaki ab tak saans hai.

Kyu na pee jaau kohre ko mai, aur kar lu apna seena chhalni, ki reh kar bhi iss kohre mei waise bhi na hai manzil milni