Monday 27 July 2015

Sach

Kis kadar jhooth se lathpath ho chale tum, ki sach ke rang ka koi ilm hi nahi bacha

Wo sach jo tumhari aur meri haqiqat hai,

Wo sach jo nanga hai, ek bachhe ki tarah

Wo sach jisko tumne kabhi jaana hi nahi, bas yunhi chhor diya nadaan samajh ke

Par nadaan kaun hai kabhi socha hai ye, kabhi gaur kiya hai inn betahaasha daudti dhadkano pe

Kabhi nazar aayi tumhe inn bechain si aankho ki veeraaniyaa, uss raftaar ko maat deti zubaan ki khaamoshiyaa

Kabhi aayengi bhi nahi, shaayad kyuki wo hoke bhi hai hi nahi

Tumhe inka ehsaas iss kadar dilana chaahta hu, ki kuch kahe bina sab kuch batlaana chaahta hu

Wo jo mai har pal keh kar bhi na keh saka, ki wo jab mai tera dushman ho kar bhi na reh saka

Wo sach jo mere hotho tak aya nahi, wo ehaaas jo tere darp ko kabhi bhaaya hi nahi

Wo jhooth jo mera muqqaddar ho gaya, aur wo sach jo humara muqqadar ban gaya

Kitne alag hai ye dono sach, ek tera ek mera, ek hi mitti ke ho kar bhi paale badal liye

Ye sach, haan sach, jo tujhse tere khwaab le gaye aur mujhse meri zindagi

Sunday 19 July 2015

Rastaa

Chalte chalte raah mei apni kuch kho aaya kuch paane ko. Aur takte takte manzil ko apni, rasto ka lutf bhi na le paya

Kaisi thi rasto ki soorat, kitni doori kar li tay maine, na gumaan koi na hi parwaah bas manzil thi meri nazro

Wo manzil jo rehti thi kahi, waha dur zameen-gagan ki baahon mei, wo manzil jo na kabhi milni thi bas soch thi ek armaano mei

Raste mei kitne log mile kuch bhatke raah kuch takte manzil, wo bhi sabhi mere aks hi thay, sab kho baithe na kuch haasil

Meri dharti ab apne ambar ko pyaasi aankho se takti hai, kab barsega wo baadal phir bas ye hi socha karti hai

Ab waqt hai apni dharti ka neela ambar mai ban jau, manzil ko apni bhool ke bas rasto ka qaidi ho jau

Phir nazaare shaayad dikh jaaye aur rasto ka mai lutf bhi lu, kya kho baitha aur kya paya inn sabse upar uth jau.

Monday 13 July 2015

Yaad

Kab se baitha hu aas mai, tujhe bhoolne ke rasto ki talaash mei

Raah takte takte ek sadi hui, na tu ayi na teri yaad gayi

Ye kaisi daldal hai, ye kaisi maya hai, jo na meri manzil hai na meri humsafar;

phir bhi kis qadar mera muqaddar ho chali hai

Apne raste pe nazrei tikaaye chale ja raha hu, jaanta hu kya chaahta hu, kis disha mei apne kadmo ko badhana hai

Phir bhi kyu mera har kadam bas teri ore hi uth-ta hai, aur mere saare ye rastey tujhme kyu manzil paate hai

Mai jaanta hu tu ab raqeeb ka naseeb hai,
phir bhi na jaane kyu ye baahei bas tere naam pe khulti hai,
phir bhi na jaane kyu ye saanse bas teri aahat pe chalti hai

Tujhe paane ki ab bhi koi khwaahish nahi, lekin tujhe kho kho dena kasam khuda ki meri saazish nahi

Aaj bhi mera suraj tere chehre se chadhta hai, aaj bhi meri raatei tera hi pukara karti hai

Mai jaanu na mai kya chahu, tujhe paa lena tujhe kho dena,
par tujhe kho dene ka gam tujhe paane se kuch jyaada hai.

Wednesday 8 July 2015

Talab

Chamakte taaro ki roshni se thak kar, hoon ab chal nikla mai ujle baadlo k raste

Jaanta hu meri pahunch na thi sitaaro ki, meri aukaat nahi aasmaano ki

Par ek khoobsurat khayal to hai meri toot ti si ummeedo ko sahara deta

Kuch khaas nahi bas yunhi kisi ko manzil bana lene ki khwaahish sanjota

Mai jaanta hu iss zameen pe chalte jana meri taqdeer ki laqeerei hai

Par yun kabhi anjaan se rasto pe kho jaana, kaunsi laqeero ki taqdeerei palat deta hai

Ye khayaalat in  panno pe mere haalaat bayaan nahi karte hai,
par mere haalaat hi inn panno ki tasveero mei rang bhara karte hai

Mai khush hu khud se sab kuch kho kar bhi, ki ehsaas hai mujhe har pal ye,

jisse kabhi paya hi nahi ussay khone ka gam kaisa,
ye aankh mei meri ashq nahi  bas ektak tujhko takne se mehsoos hua kuch nam jaisa