Friday 16 December 2016

Na-ummeed

Ek boond kabhi jo paani ki uss dharti se takrayi thi, mitti ki sookhi parto pe seelan si jab gehrai thi, Mehak padi dharti bhi jhat se, hawaa mei khushboo chhayi thi

Patte bhi pedo pe lehrake khushi se jhoome jaate thay, kuch toot toot ke daalo se dharti ko gale lagaate thay

Ambar bhi jaise gehrakar ek rang naya banata tha, aur roshan krne dharti ko wo bijli ke diye jalata tha

Par baarish ka mann tha kise pata wo to balkhati lehrati thi, apne hi husn pe itrati wo muska ke tehli jati thi

Baadal ki god mei baithi wo chal padi samandar ke raste, dharti ko karke waade kal ke, lehro mei mili wo has has ke

Uss dharaa ko kya samjhaye koi, iss kadar luti uski ummeed, bas pathraayi si rehti hai, sookhe patto ka bojh liye

Ab ambar bhi sehma sa kuch dharti ki veerani takta hai, hawaa mei koi mehek nahi, sannato ka asar sa dikhta hai

Wednesday 14 December 2016

Karam

Badalne se fitrat gunaaho ka asar kam nahi hota, ye chakra vyooh hai samay ka jo guzarne se hal nahi hota

Kuch baatei jo sun ke bhi ansuni ki, wo hi badal deti hai maayne zindagi ke, ki har kisi ko meri shakhsiyat ka koi ek pehlu kyu bardaasht nahi hota

Pal pal badalti lakeerei hai maathe pe, har lakeer ka matlab haalaat nahi hota, badalne to haalat nikalte hai hum, jaane kab badal jati hai fitrat kabhi gaur nahi hota

Gaur karte agar to gunaah humse thode kam hue hote, kuch asar to zindagi pe kambhaqat kam hua hota

Asar hota agar kam to mai thoda jyada ho jata, thodi mehnat bhi lagti kam, thoda sa jyada muskata

Mai muskata abhi bhi hu ki mujh mei jaan hai baaki, besharmi si abhi bhi hai, wo yun kaise chali jati