Thursday 28 January 2016

Yuddh

Pehen ke bakhtarband, mai nikla tha shahaadat ko

Liye shamsheer haatho mei, mai nikla tha ibaadat ko

Thay kaate sar yun dushman ke, jahaan mei mai hi mai chhaaya

Khuda ke ghar ke rasto pe, khuda ko khud sa hi paaya

Naasamjhi thi yahi meri, kisi se khel na paaya, kisi ko maut de di toh kisi ko mai bachaa laya

Khuda ko khud sa paate hi mai bann baitha khuda jaisa

Chale bas apni marzi thi, kisi manzil tak jaaye, na koi aisa rastaa tha

Mitaa doon bhookh duniya ki, mai kheto mei bhi ja ladd aya

Wo gehoon ke unn kheto ko, lahoo se banjar mai kar aya

Abhi bhooka hoon mai thoda, aur pyaas bhi hai bhujti nahi

Lahoo dushman ka peeta hu, chane lohe ke hoon khaata

Par ab mai thakna chahta hu, apna ye nanga jism liye kahi dur nikalna chahta hu

Jaha bakhtarband kahi nadi ke neeche machhli ke ande rakhta ho

Aur shamsheer meri kahi dabi padi ho, sadiyo tak na woh haasil ho

Saturday 16 January 2016

Darp

Kiye nazro mei qaid tujhe, azaad sadak pe chal nikla

Ab apne raste jata hu, ek manzil nayi banata hu

Wo manzil jisme tu na ho, wo manzil jisme mai hi hu

Wo manzil jiski deewaaro pe rang naya laga hoga, jiske aangan mei phool naye, aur mausam mei bhi narmi hogi

Jaha dharti raat mei roshan ho uss tim tim karte jugnu se, jaha chaand humesha poora ho, pedo pe patte hare bhare

Par phir kyu soona aangan hai, choolho mei itni thankdak kyu

Jaise sadiya beet gayi ho, mujhe paidal chalte chalte yun

Maine socha tha teri yaadei leke aage mai badhta jaunga, nayi manzil ko bas palak jhapak ke apni mutthi mei kar paunga

Na khabar thi ye na ilm hua, tu meri aakhiri manzil thi, tere baad jiya hai jism ye bas, aur maut na mujhko haasil thi

Wo jugnu thay jalte jaate hum dono ki hi takte raah, dekh mujhe akela wo apni hi aag mei bhasam huey

Dulhan si saji wo deewaarei dheh gayi usi aangan mei tab, mausam ne jab khabar ki ye, aa gaya akele wo chhor ke sab

Khwaahish thi bachi bas dharti ki ab, uss raat mei roshan hone ko, maine ghar ko aag laga di phir, koi to yaha poori Khwaahish ho

Ab phir se hu chalta jata, beete uss kal mei qaid huey, azad hai raste kya maloom, le jaye kaha kis ore mujhe