Monday 4 November 2019

Agyaat

Khat khata ke darwaaze ko bade pyaar se usne andar aane ko poochha, mai bhi usi andaaz mei usay ijaazat de di

Sakuchaate se kadmo se andar wo ayi, Maine baithne kk usko jagah bhi de di

Wo boli ki ye mulakaat pal bhar ki nahi hai, maine bhi zindagi apni usko amaanat si de di

Wo krti rahi guftagoo mai sunta raha, aankho mei apne armaan yunhi bas bunta raha

Uski zameeno ka aasmaan ban ne ko mai har chhal krta raha, par wo to kisi saahil ki ret thi jo lehro ki pyaasi thi aur mai baarish ka raja tha

Yakeen dilane ki koshish ki, usko bhi maine khud ko bhi maine, ki sagar na sahi baadal hi sahi teri tapasya ka hi ant hu mai

Par wo maani na apni dhun mei thi, le gyi bahaa sang leher ke sab, mai sookhe baadal mei qaid usay takta raha

Aaj wo lehro ki mauj mei shaamil hai, kehti h muje thodi barsaat toh kar, aray kuch toh baras

Mai barsa uss ki lehro pe to toofaan bhi yunhi ban jaunga, iss adaa ka usko koi ilm nahi, phir bhi mai kinara kr leta hu, khud ko yun samjha bas leta hu, ek baadal ka bas tu hissa hai, sagar ki teri aukaat nahi, aur kis leher mei ab rehti hai wo, uss dishaa ka tujhe koi gyaat nahi

Wednesday 9 October 2019

Amrood

Kuch dard sataate hai teri yaad ke meethe, mere aangan mei rehte wo amrood se latke

Mai chadhta hu jab ped pe uske, wo ghaav hai deta bas chhoone se uske

Wo kaante chhote se, yunhi chubhte jate kuch bina kahe, mai mithaas ke laalach mei uss amrood ko todne jab jata

Wo amrood jo sookhte patte sa, kuch haraa kuch peela, khud se toot ke meri baaho mei nahi aata, par jab chakhta hu mai ras uska, teri yaad mei nahaa jata

Kuch kadwi si kuch meethi si, teri yaad mujhe ye diye jata, mai has padta teri zidd pe har dam, jab bhi mere daanto mei amrood ka beej hai fass jata

Mere aangan mei teri hi khushboo hai, mai chabootre pe bĂ aith ke tere pakne ka intezaar krta hu, par maloom hai mujhe mere aangan ki mitti mei taaqat nahi, tere pakne se pehle tujhe murjha deti hai

Phir bhi umeed mei baitha hu, mitti ko sawaara krta hu, ek ayegi barsaat bhi wo, jab neer nahi barsega ghar mei, bas tu hi tu bichi hogi

Saturday 29 June 2019

Rihaai

Aaj baitha hu intezaar mei kuch khoobsurat lamho kei, kuch lamhe jo khaas ho meri baaho ko, jaise yun hi kabhi tujhe chhoo aaye ho nikal

Wo ghadi h ek jo tik tik krti chalti jati, jitni badhti aas h meri utni hi dheemi padti jati

Shaitaan hai ye samay bhi bas, mujhse athkheli krta hai, wo hai nahi mujhe hai maaloom, phir bhi dil ardili krta hai

Jab pyaar hi pyaar diya maine to phir kaisi ranjish hogi, gar haasil na ho baaho mei tu, benaam si bas mazil hogi

Ranjish na sahi fitrat hi hui, tu ayi na mere seene pe, mera dil ab bhi ye dhadka hai, tere aaghosh ki chhah mei tadpa hai

Ye tadap h bas kuch der ki ab, aa mil ja tu mujhme har su. Aur le mujhko khud mei tu mila

Na mili to koi gham nahi, na tujhko tha, na mujhko bhi yaha, Hum to bas chand musaafir hai yahi keh k kar meri rooh riha

Friday 21 June 2019

Vidambana

Kabhi kabhi yun bhi hota hai, jab jalte jalte thak jata hu mai, Jaise kehte hai uss gaaon mei, diya sa bujh jata hu mai

Kuch tel daalo panaaho mei iski, phir se uski lau jal padegi, fusfusaate hai wo, Agar diya roshan hi na hona chahe, kaun samjhaye inko

Mai ab bhi uss diye sa jale ja raha hu, apne hi pehlu mei andhera paale, dheere dheere bujhe ja raha hu

Unko zarurat hai roshni ki andhero mei aksar, unn andhero ko cheerta mai jiye ja raha hu

Mai diya hu toh jalunga hi, meri khwaahish yaha kisko h pata, wo nikalta hai mere jism se jo dhuan, tere andhero ko mitaane ko jalaa hu mai, apna ye sach kisko du bata

Yunhi khaamosh jalte jalte mai ban baitha hu ujaalo sa, mere andhero ke kisso ko kis roshni mei tujhse karu bayaan

Monday 17 June 2019

Samaanta

Neela samandar neela aakash aur neela padta mai

Aaj pehli baar khud ko samandar aur aasmaan k qareeb paya hai

Wo samandar jo gehrai ke gumaan mei hai, wo aasmaan jo oonchai ki khudai mei hai

Aaj khud unsa dikh k bhi, khud ko unse alag sa paya hai

Na gumaan gehraai ka, na khudai ki zarurat mujhko

Bas ek baar khud mei khud ko dekh lene ki hasrat ko paya hai

Samandar banta hu to dekh hi leta khud mei khud ko ambar sa

Par ambaro ki chaudaayio ko yaha kaun naap paya hai

Wo ambar jo sadaa mujhse upar tha, kshitijo se ishaare krta tha

Uski tasveer mere jazbo p dikhti hai, lehro mei harqat si hoti hai

Par ye tasveere jo banti bigadti si hai, mehmaan hai kuch pal ki bas

Yun hi mit jayegi lehro ke aanchal mei wo, gum hoti dheere se samandar mei namak ki tarah

Kuch kureda thoda to paya maine, Aakhir kab wo oonchaai iss gehraai mei utar paayi h

Kab uss ambar ki bechain shakhsiyat iss shaant samandar mei samaa paayi hai

Wednesday 1 May 2019

Chhayabhaas

Mai chalta hu kisi raste sa, apni hi dhun mei dagar dagar

Tu aati hai kisi manzil si, apni marzi p ruki ruki

Mai chhoo k nikal jata hu tujhe, phir bhi tera ehsaas nahi

Tu has ke ruk jati hai kahi, meri pyaas ki tujhe koi rah nahi

Ek sadi hui chalte chalte, mai tujhse kabhi mila nahi

Ye raste hai kehte jaate, tu mujhse juda hua nahi

Mai bechaini mei khoju tujh ko, tu har su nazar hi aati hai

Par chain se jeene ko mujhko kyu teri kami sataati hai

Aye manzil bas ek vaada kar, yun hi milti mujhse rehna, inn raaho mei, unn dagro pe

Kyuki Darr hai chalte chalte yun, khud sadak na mai ban jau kahi, teri chhalne ki jo aadat hai, tujhe kshitij p na mai pau kahi

Wednesday 10 April 2019

Mrig-trishna

Aaj kahu ek kissa phir se, ek kirdaar naya farmata hu, aao baithe aangan mei phir se, mai baat nayi sunata hu

Wo ret k daldal p chalte uss aadam ki ye kahaani h, jo khoj mei nikla tha paani, mujhe uski baat batani h

Tha chalta wo bojhal sa kuch, chappal mei ret thi fasi hui, kuch zubaan thi pyaas se sookhi si, kapde garmi se bhige hue

Unn oonchi neechi lehro pe bas ret hi thi nazar aati, uss ret mei dafan ho jaye kahi khwaahish si thi badhti jati

Phir door nazar aya usko ek meethe paani ka chashma, jaise sun li ho sooraj ne khud, de diya ho usko ek sapna

Jaa pahucha wo chashmei pe tab, aur aankh khuli thodi badi si jab, wo chashma bas ek maya tha, jo dhoop ne waha banaya tha

Kya khel hai ye tu khel rha, wo sooraj se hai ab pooch raha, mai pyasa tha chalta jata tha aur paani dhoonde jata tha, na sunta agar tu meri kuch, mujhe koi gham nahi hota, par maya ka kya tha kaam yaha, tune ye kya raah banayi thi

Maine manga tha paani tujhse, na maangi teri khudaai thi, mrigtrishna deke kehta tha, jaa ye hi teri rihaai thi

Tuesday 26 March 2019

Sangeet

Ek dhadak se phir dil jaag utha, jaise sisak si koi baaki thi, Ek sailaab sa jaise aya ho, wo leher ke jaisi haavi thi

Mai dhadku ya phir tham jau, tu bijli si kaundhi seene mei, Mera dil ye pukara karta hai, kuch der hui par der sahi

Teri aahat ne mehkaya mujhko, ae raahi kya teri fitrat hai, Ab mujhko meri raah nahi, tu khushbu si har su bikhri hai

Mai taare gin na chahta hu, pehlu mei teri mujhe zarurat hai, Ek baar yahi keh de mujhko, jhoothi hi sahi, teri hasrat hai

Mai nikal padu uss safar pe phir, jin rasto pe nazar tu ata hai, kuch der tera deedaar karu, phir choo lu tujhe, kho jau kahi

Ho skta hai raste mei yakeen aa jaye mujhe, tu manzil paake yaha baitha hai, Par tab tak rehne de dhuaan inn bhadki si ummeedo ko, iss dhadkan ko tu behne de , mujhe raste tay kr lene de

Ye raste jo maine liye badal, ek teri chehak sun ne ko bas, Sangeet h ye, kya jaane tu, kuch der basar kar lene de