Saturday 26 August 2017

ek jalpari shubhda

Soot si kheechi tune saagar pe rekha... maine palat ke deka aur kshitij ka naam de diya

Safed sa aasamaan jise milta hai rang badalte hue, kabhi khtam na ho uss ambar ko dharti ke safar ka kaam de diya

Ujli si aati ye lehrei kab neele hare mei badal jati hai, sagar ko bhi shayad khud ki shakhsiyat ka gumaan nhi hota

Mai ret pe khada takta hu samandar ko, ek lehar aye aur mujhe bahaa le jaye, uss kshitij k kinaarr pe shaayad pahucha de tu hi

Wo kshitij jiski chahat maine kinaaro pe hi rehke ki, shaayad aas paas ki bheed se ghabra gaya tha mai

Kabhi tair kr samndar mei aaunga teri  baaho mei, ae jalpari mai tera paani hu samaa jaunga teri saanso mei

Tab tak tu krna intezaar mera, guzarti hui naavo mei rehna tu parcham ki tarah, jo hawaa ki raaah bas takta hai phir bhi lehro mei rehta hai

Tu bhi aisi hi kashti h meri jiska mai bechain sa saahil hu, ek jalpari si tu, naavik sa mai, haan ab bhi tere kaabil hu

Tuesday 10 January 2017

Andardwand.. ya anth

Ret si zinadgi mutthi se yun fisal jaati hai, bikhri si har taraf bas apne hi haatho mei nahi

Sagar ki god mei baith kr khud ko khuda samajh liya, magar pyasa reh jaunga kabhi socha hi nahi

Sardiyo ki dhoop ka swaad chakh kar kirno se dosti kr li, iss kadar jhulas jayega ye jism garmi mei koi andesha tak nahi

Savero mei chhupe sannato se kaano ke parde fatay, to andhero mei aati roshni se chundhiya gayi aankhei

Kis kadar udhdi hai ummeed ki maili ye chaadar, ki thithurte rishto ko garmayi ab, deti hai chitaaye khwaahish ki