Friday 4 December 2015

Raakshas

Cheekha tha chinghaada tha, tha bebas mai laachaara tha, mai aadam tha mai tha naazuk, mai kismat ka bhi maaraa tha

Pal pal jeevan ke khel ko kuch, mai aise jeeta aaya tha, jo mila usi ko jita diya, aur khud se khud ko haaraa tha

Aankhei hai laal sadiyo se meri, jism pe kitne chhaale hai, baalo se lambe naakhoon mere, chamdi pe dhabbe kaale hai

Dham dham kar chalta jaata, mere jism uth ti badboo hai, mere wazan se dharti dol uthay, meri jeebh saanp se lambi hai

Kar lunga pravesh mai duniya mei ab, doori thodi hi baaki hai, bas kuch pal aur safar hai baaki, phir darne ki teri baari hai

Mai aadam tha to poore jeevan bhaybheet raha uss raakshas se, jo mere andar rehta tha, baahar aane ko kehta tha

Mai Geeta padhta rehta tha, par bebas phir bhi rehta tha, aa jaaye na baahar galti se tu, mai gumsum ghooma karta tha

Sashakt nahi ab itna mai, uss raakshas pe kaabu pa paau, ab waqt bhi chahta hai mujhse, wo raakshas mai hi ban jau