Sunday 27 September 2015

Dridh

Deewangi hai ishq mei, junoon sa sar pe rehta hai

Na sunayi de na dikhayi de, tu apni hi dhun mei rehta hai

Fanaa hue parwaane kitne uss jalti hui shamaa k liye

Wo jalti rahi pighalti rahi, uff na ki, bas roshan hi rahi

Kitne katre uss mitti ke hai khoon se lath-path yaad nahi,

Bas banjar hoti dharti ko patthar ye pukara karta hai

Aa ho jaa dulhan, tu phir se sawar, mai mita du apni hassti bhi,

Ek teri hariyaali pe parwat ko bhi kar du mai zameen

Kyu ajab se hai kisse ye sabhi, jo chaha hai paaya hi nahi

Bas aas hai aage badhne ki, ek chaah hai sundar kal ki abhi

Wo kal jo tera mera ho, jisme ho baatei teri meri

Hum ho na ho parwaah hi nahi, bas ishq ho aur tu aur mai,

Ho jaye samay jaha bematlab, Koi roop nahi aakaar nahi, iss ishq mei manzil haasil wo, pahuche jismo ke paar kahi.

Wednesday 16 September 2015

Bhayabheet

Dagmag dagmag chal chal chal chal, Thar-thar Thar-thar pal pal pal pal

Kyu tu aise ladkhadaata, kyu hai aise darta jaata

Kal-kal Kal-kal nadiya karti, Dham-dham Dham-dham jharne girte

Kyu tujhko ye shor hai lagte, kyu badhte teri ore hai dikhte

Garaj-garaj phir aya baadal, Chham-chham Chham-chham barsaatei

Par tu apne ghar mai band hai, deewaro se krta baatein

Chal nikal baahar aur dekh zaraa kudrat ye kitni nyari hai, aa kadam badha chahe gir ja phir, mitti ki god bhi pyari hai

Bas ruk mat tu aur darr mat tu, ye thakne ki na baari hai

Ja ho ja gum phir khwaabo mei, manzil ko raahein saari hai

Saturday 5 September 2015

Prithak

Khidki se aati dhoop se neend khuli abhi meri, aankho ke pardo ke paar kirne jab pahuchi ye teri

Ek mujhko bas jagaane ko kitna oopar tu chad aya, dar pe na dastak di tune, khidki se andar ghus aya

Tera laga nahi mann mujh bin phir se, ek aur naya din de daala

Kya adaa hai teri O sooraj har dar pe roz pahuchta hai, na rukta hai na thakta hai bas chalta phirta rehta hai

Tu bhi shaayad mere jaisi baichain rooh ka maalik hai, jo rehta sultaan ki maanind, par ghulaam hai apni baichaini ka

Eendhan hai ye baichaini jo, hum dono ke aage badhne ki, na rukne kahi pe deti hai, na hi hai thakti ek pal bhi

Aag hai tujhme mujhme bhi, har kisi ko lagte uble se, par jhulas na jaye duniya ye, isliye to rehte prithak-prithak se

Bas dur dur se sabko apni garmaayi de dete hai, anjaan rahe ya wo ho gyaani, chaahe pooja kare ya beimaani

Iss duniya ko. inn logon ko, bas ektak dekha karte hai, kabhi taap se kabhi bhaap se, ujjwal karte rehte hai

Bas thoda aur sabar kar le mai bhi ek din phir aaunga, baadal ki khidki se ghus kar phir mai tujhko jagaunga

Phir karenge baatei jee bhar ke apne apne kisso ki, aur baatenge thodi si chhaya apne apne hisso ki.