Friday 6 December 2013

Baichaini

Har pal na jaane kaun se yun khwaab hu mai dekhta, ek pal mei dharti fatne lagti aasmaa bhi hai ye pighalta

Jab raakh ban jaati hai daldal, garmi badhne lagti harpal, karti bhasm ye aag hai, Kisi mod pe kisi raah pe na jism hai na shwaas hai

Bas rooh ko baichaini hai kuch kuch, khaalipan bas paas hai, kya rooh bhi dekha h khwaab karti jo tootne ka ehsaas hai

Ya ilm nahi hai isko ab tak jism se apni azaadi ka, anjaane se ehsaas bhi aksar baichaini de jaate hai

Ye baichaini hai khone ki kuch ya roop naya ab paane ki, sab dhundla hai ya sheeshe sa koshish khud ko samjaane ki

Jo bhi hai ye kuch to hai ehsaas naya jazbaato mei, jo jalte hai aur bhuj jaate bas yunhi baato baato mei

Friday 15 November 2013

HAAR

Kaun se pal honge jaane wo, jab khud ko khud ki shakhsiyat mil payegi

Wo lamha hoga tanhai ka, ya mehfil se saraabor, jab nazrei khud se takraayengi

Thamtaa nahi hai kyu haarnay ka ye silsila, ki khwaabo dekhte hi hum toot jaya karte hai

Nahi chhorti saath jab himmat, jab toot-ta nahi hai ye jazbaa hausalo ka, To phir kyu mazilo pe pahunchne se pehle hi raste chhoot jaya karte hai

Khud apne kandho pe hardum jeevan ko maine dhoya hai, jab kandhe ye thakte nahi to kyu zameen phoot jati hai

Girta sambhla chalta jata, mai kismat se ladta jata, dagmagata nahi vishwaas jab ye phir kyu haqiqat rooth jaati hai

Jaane kyu ye hota aisa, waqt ka nahi raha bharosa, bebasi chhayi hai yu ab, bhar ke saans leti ye zindagi, bas ghut-ti hi reh jati hai

Friday 25 October 2013

Chhalaawa

Kayi muddato se maine jo kwaab tha dekha, wo aaj aake yun toota mai dekhta hi reh gaya

Kab neend se jaaga kab roshni mei tha, wo kab andhera gum hua mai sochta hi reh gaya

Kho diya usko bhi maine khwaab mei jo aya tha, dur ja pahuncha tha mera apna jab mai soya tha

Kyu chhaye baadal h ye saare bas mere sirhaane pe, barse h yun mujhpe ye ki mai bistar sukhata reh gaya

Jab paanv dharti pe hai rakkhe lagti wo khisakti si, aur aasmaan chalne laga h sochke mai nashe mei tha

Sab jhooth hai sab hai chhalaawa aur sach nahi lagti haqiqat, wo khwaab shayad zinda hai banke meri ab shakhsiyat

Phir kyu ye bechaini hai muhko kyu yun itni aag hai, jab shakhsiyat bemaani ho gayi to zinda kyu jazbaat hai

Friday 11 October 2013

Manzil Zaroorat ki

Ittfaaqo pe nahi rakhta Safar mei aitbaar mai, darr hai kahi ittefaaq se bhi phir ittefaaq na ho jaaye

Bade ehtiyaat se manzilo pe chal nikla hu, ki kadmo ko jamaana hai rasto pe iss baar mujhe

Karta hu qubool ki thoda nadaan hu mai, kabhi sach se parichit to kabhi jhoot se anjaan hu mai,

Har koshish mei hai aag meri, aur aandhi si hai chaal meri, chaahe dhuaan ho ya daldal ho, ummeedo ki ab jaan hu mai

Rastay ka apne dhyaan mujhe hai, manzil ka apni gyaan mujhe hai, kuch girta sambhla chalta hu,

Nazro pe hai chhaaya andhiyaara aur pairo mei ab chhaalay hai, phir bhi nange paav hu badhta, naram nahi hai talve ab

Ummeed hai bas ke chalta chalta itna duur nikal jaau, ki pehen ke chashma sone ka, joote mai silva paau.

Wednesday 2 October 2013

Maut ya Shuruaat

Jab chamakta wo sooraj thak kar paani mei doob jaye, jab ujle se aasma pe kaali syaahi bikhar jaye

Jab ladkhadaate andhere poori taaqat se chillane lage, aur sannaato ka shor kaano ko cheer ke jaane lage

Wahi ek waqt hota hai jab insaan ki icchha-shakti dum todne lagti hai, Aur wahi ek waqt hota hai jab apni paraayi har cheez saath chhorne lagti hai

Badalne lagti hai jab saans bhi apna rastaa hawaaon ke rukh se, Uss ghutan bhare maahol mei rooh bhi jaise azaadi ko machal uthti hai

Peeda se bhare unn palo mei jab dimaag doobne lagta hai, Aur mann apni ant-heen icchhao ko dheere dheere pighalta mehsoos karta hai

Toh kuch simte bikhre se palo ko yaad karte hue ye shareer iss rooh ko azaad karne lagta hai

Iss umeed mei ki ye rooh inn saare bandhano ko tod uss nayi subah ki baahon mei samaa jayegi, phir se uss meethi roshni mei naha jayegi

Saturday 17 August 2013

Khel

Lehro ke saath tinka tinka behti, patthar ki ye zameen ab doobne lag padi hai

Kabhi mitti ki khushbu thi kabhi phoolo ka aanchal tha, aaj daldal ban sab kuch nigalne lag padi hai

Kabhi sheeshay si sundar jo gar beparda bhi rehti thi, ab apni hi ek pardadari lekar panap rahi hai

Ae Aasman ko dharti pe bichha dene wale, tere dekhte dekhte ye ab samundar mei ghulne lag padi hai

Thi khwaahish jo uss dharti ko sada baahon mei rakhne ki, jo koshish thi wo sooraj se usay roshan bhi karne ki

Kyu aasman mere tu itni dur ja pahuncha, ki khush rehti hai dharti ab samundar ki panaaho mei

Hai shikwe usay tujhse ki maano h uska qaatil tu, aur khanjar toh wo bhooli hai teri laash ke seene mei


Adhoora khwaab reh gayi teri bachi hui haqiqat bhi, ki ab to aaja wapis ghar, hai rakha kya yu jeene mei

Thursday 16 May 2013

Musafir

Anjaan si raaho mei, tanhai ka saath liye, Ittefaaqo mei lipti hu, ye musafir si zindagi

Rukti theherti padaavo pe, ukhadti hui saans ko kaabu karti, hardam safar mei rehti hai

Kuch chilchilati dhoop mei aankhei mundi, kuch pathreeli zameen pe ghayal paanv

Uss pe pyaas se sukhte hothon ki jalan, har haalat mei apne raaste dhoond hi leti hai

Batorti rehti hai har safar mei khazaano ko, kuch sar ko uthaye to kabhi usko jhukaye

Ladti jhagadti kabhi zammane se bachti, chhor ke sab kuch yunhi achanak phir kahi nikal padti hai

Koi ilm nahi hai kya khoya, koi lutf nahi hai jo paya, bas dard hai thoda pairo mai, kuch baato mei aur seene mei

Jab thak jaati hai anth mei ye to chal padti hai maut ke saath, ki wo jism tha jo safar mei tha, par ab aayi hai rooh ki baat

Sunday 21 April 2013

Haar Jeet

Tehniyo se ulajh kar kahi parinde ruk na jaaye, ki oonchi udaane ka faasla abhi tay karna baaki hai

Nukeeli daaliyo ki chubhan jo pankho mei uthne lag padi, kahi hausle ye masoom se toot na jaaye

Deni hogi raftaar ko maat jo udna h aasmaano mei, pankho ko de itni tez dhaar ki naam ho kaarnaamo mei

Gar pahunch gaya uss oonchaai pe tu, to le lena jee bhar ke saans, ki shuru hogi phir nayi daastaan aur nayi jung liye wo kudrat paas

Aazmaana khud ko utna jitni khud kudraat ki zaat nahi, jeet gaya to jag tera baaki sab bebaat yunhi

Gar haar gaya to gum na karna itna soche jaana tu, 

Tune kudrat se li h takkar chhoti ye bhi baat nahi, sapne hi jab ye tere thay to tukdo ko bhi rakh le paas kahi

Thursday 21 February 2013

Irada

Chal pada aaj phir mai aasmaano ke seene mei apni duaaon ko pevast karne,

ki laut laut ke waapis aati thak chuki hai saari ye, lagti kitni haari ye..

Phir bijli hai barsi mujhpar, phir parvat tharraaye hai, maano jaise aasmaan par baadal ye gurraye hai

Par mujhko ab dhun hai bas ye aage badhte jana hai, zor bazuo mei hai jitna sab unko dikhlana hai

Hai taaqatein jitni upar sabko hi aazmana hai, aankho mei phir daal ke aankhei har dua ko hi manwana hai

Phir koodu yun zor se neeche fatt jaaye dharti ka seena, ho parvat ke tukde itne bijli ka ho naam kahi na

Thursday 17 January 2013

Keemat


Kitni ajeeb daastanei milti hai dekhne ko yaha, maano ye sansaar bas ek kisso ki hai kitaab bhar

Har roop ke kirdaar hai, har rang ke vyaapaar, jazbaat h har kism ke aur har talwaar ki dohri dhaar

Yaha har kisi ko bas apni saanso ki chaal hi dikhti hai,  kya chhoot gaya aur kya paya bas itni baat hi yaad

Kuch der liye jo aankhei moond chaha jo karna vishwaas, ayi chehre pe udti dhool maano chhor gaya koi yunhi saath.

Meherbaaniya ye saanso ki jo chalti hai aur deti saath, Hawaayein to warna tod chuki dum jab khaayi thi waqt se maat

Begunaaho thay jo kuchal gaye veeran se kitne thay jazbaat, keemat hai masoomiyat ki jo samjhe na matlab ki baat

Rishta

kuch  mai muqqammal karta chala, kuch wo adhoora rakhte rahe

kuch wo mehsoos karte rahe, aur kuch mai laaparwaah hota raha

kuch unki azzadiya kuch mere paavo ki bediyaan, kuch meri tanhaiyaan, kuch unki veeraniyaan

zanjeer ban gayi wo sab zanjeer bante bante, jo dilo ko nahi shaksiyat hi baandh deti hai

wo mai nahi, mai wo nahi, phir kyu iss kadar nasamjhi ko samajhne ki darkhwaast hai

humne tumne kaha na magar, kuch kahe unkahe se shabdo mei ek karaar ho gaya

Haan! aaj jaake mujhe laga ki tera mera rishta yunhi bas bejaar ho gaya