Saturday 22 November 2014

Naadaan

Jharne ke paani ko khoobsoorat to keh gaye tum, kabhi uss se girte rehne ka dard samjha hai

Pehli baarish mei aati mitte ki khushboo pe muskura to diya tumne, kabhi uski halak jalaati pyaas ka soojha hai

Ek samandar hai jo chup chaap lehro ki ath-kheliyaan dekhta rehta hai, kabhi uss se uske toofaan ka kaaran poocha hai

Wo aasmaan bhi to kitni khamoshi se dharti ko badalte dekhta rehta hai, kabhi tumne uss amber ke barasne ka maksad bhi socha hai

Gar ho mumkin to chakh lena uss meethe jharne ka paani, shayaad tum samajh jaao ki kyu usne haar hai na maani

Afsos ki tum naadaan ho yu ki bas apni kar guzarte ho, hai duniya ye shwet syaah bas itna hi samajhte ho

Magar anjaan hai tu iss rang birange indra-dhanush ki maaya se, jo reh kar teri nazro mei tujhko hi dikhaayi nahi deta

Ab aankhei kholo pehchaano tum apni khud ki duniya ko, warna wo din bhi dur nahi

jab dharti seena cheeregi aur aasmaan tharrayenge, sagar bhi jaise ubal ubal ke mitti mei mil jayenge

Tuesday 18 November 2014

Qatl

Mere hashra ki daastaano ke charche hai jahaano mei

Kuch kehte hai gazab hoga, kuch sunte hai ajab hoga

Mai sunta nhi teri kahaaniya jo, mai karta nahi parwaah agar

Ye meri fitrat hai, ye mera jazbaa hai

To kyu tu vichlit hai mere sooraj ki chamak se

Kyu teri hai saans thamti meri aahat ki bhanak se

Mai tera bairi nahi, dushman nahi, na hi yaha koi ranj hai

Phir kyu liye khanjar hai firta, tu meri hasrat mei yun

Mashgool hu mai jung mei khud ki, tere liye mujhe waqt nahi

Hai duniya meri bhi teri, koi sultaan nahi koi takht nahi

Kar ke mujhe yu lahu-luhaan, haasil tujhe bhi kuch na hoga

Mere waqt se katal hua hu mai, tere khanjar se mujhko kuch na hoga

Tuesday 11 November 2014

Bedard

Mai behekta rha kadam ladkhadate rahe, Yun bhi kabhi zindagi zalzalo se ho kar guzari hai

Mai bharam mei raha ki kudratei mere ishaaro pe hai, Wo chhalti rahi mai hassta raha

Ghaayal hui ye rooh, chhalni hua mera aasmaan, Fikre gayi dum todke jab bairi hua ye jahaan

Par kyu mujhe taqleef nahi, kisi dard ka ehsaas nahi, Jism to ab bhi zinda hai, saans mei shaayad saans nahi

Par dard to jism ka hissa hai kabhi baahar se kabhi bheetar se,


Phir bhi ye baat ajab si hai, ki dard to hai par dard nahi