Monday 12 November 2018

Uphaas

Sochta hu aake fusfusa du kaano mei tere, ae zindagi, haan tujhse tauba kar li hai maine...

Par jab dekhta hu baarishe teri, doob jaane ka mann krta hai tujhme

Jab rukne lagti hai phir saans meri gehraai mei, uth khada hota hu tujhe kuchalne ko

Aur phir yunhi mitti si mehak uth ti h meri saanso mei tu, mai betahaasha sa teri khushbhu mei qaid chal padta hu

Chalte chalte bandh jati h mere paanvo mei daldal si tu, mai muskarata sa tere aaghosh mei samaa jata hu

Aankhe khulti hai panaaho mei teri, tere siva koi nazar nahi, hai darkaar bas teri hi mujhko, phir kyu mujh mei koi sabr nahi

Cheer ke mitti ki parte baahr mai nikal to aata hu, phir roz roz geela krke mitti mei per dubata hu

Na, ye mera dard nahi.. haan shayad mera uphaas hai, tere jashn mei kooch kiya tha mai, har su tera ehsaas hai

Friday 12 October 2018

Dvand

Qaid krke saanso mei, toofaan hawaa ko le chalta, baadal ki bheegi nazro ka kisko hai ilm kisko hai pata

Wo baras baras ke dharti pe apni aah sunata hai, sab kehte hai khush hai baadal dharti ki pyaas bujhaata hai

Wo dharti jo sooni si thi, baadal ki garaj se khili khili, bikhar gayi thi rango mei wo, baarish si thi jab kahi padi

Toofaan tha wo jo chalta jata, apni hasti krke wo bayaan, hawaa thi majboor bahut, dharti ke rang diye uda uda

Wo baadal tha ek garja tha bahut, barsa tha bahut, par hawaa ka jism na chhoo paya

Ek dharti thi wo uss toofan ke talay, uss hawaa mei pale, baadal ki aas kiye jati

Na hawaa mili baadal ko phir, na toofaan dharaa pe chhaa paya, ek hawaa thi bas sannato mei, mitti ko jisne mehkaya

Ek saathi tere jaisa

Ek saathi tere jaisa.. maano aasmano ne likhi ho koi kitaab dharti pe baarish se

Ek saathi tere jaisa.. jaise sooraj ne kar diya ho naram baraf ke pahado ko apne aaghosh mei leke

Ek saathi tere jaisa... maano phoot ayi ho fuhaar zameen ke andar se baadlo ko choomne

Ek saathi tere jaisa.. jo leke apne saaye mei, ban jaye khud saaya sa

Bas ek saathi tere jaisa.. jaise nadii ki hoti kalkal mei, aata hai sangeet koi

Haan bas ek saathi tere jaisa.. jo sahi galat ke paar mile, duur rahe par saath chale, yakeen na ho par raah takay.