Friday 26 August 2016

Niyam

Dagmag Dagmag chaal h meri, chalta hu lehrata sa, jagmag jagmag duniya ki kirno se hu andhiyaata sa

Taktak taktak rasta dekhe mitti ki parte baarish ka, jhamjham jhamjham megha na barse, inhe ilm nahi kisi khwaahish ka

Tharthar Tharthar hawa ki cheekhei parvat se jaake takraayei, sannato mei phir ghul jati wo, parvat se na oonchi uth paayi

Gharad gharad wo baadal garje parvat ko dikhaye ithla kar, aa jaye usay neeche choone uski hasti ko jhuthla kar

Ye lehrei bhi samandar ki chalti hai thodi balkha kar, jaise samtal sagar ke paani ke neeche ki zameen pe hulchul ho

Yaha har koi iss kudrat mei jab seedhe raste chalta hai, wo dikhta hai thoda tedha sa jaise apni marzi karta hai

Kudrat ka niyam bhi yahi h bas tu apne raste badhta chal, par niyam to hai insaaano ka jo sab par laagoo hota hai

Teri chaal ho seedhi inka kanoon, tu tedha sa kyu chalta hai,  tu andho ki iss nagri mei ekakul kyu rehta hai

Mai bola to meri zubaan katey, mai na bolu to hriday pisay, mai sochu iske baare mei kaise, mere bheje pe pehre hai lage

Ab shaayad ek hi rasta hai, mai duniya mei ghul mil jau,  phir banke hissa parvat ka chattaane kuch sarka pau

Thursday 11 August 2016

Mai

Pathraate se rasto pe jab  mai tha tab chalta jata, Kya maloom tha ja pahunchunga chalte chalte mai baadal ke makmal rasto pe

Inn rasto pe safar jo hai unki na koi manzil hai, bas chalna hai aur chalte jao, koi farq nahi koi ilm nahi kya khoya hai kya haasil hai

Mere per mai jitne chhale thay unhe ghule hue ek sadi hui, aidhi pe bani daraaro ko bhi bhare hue ek sadi hue

Kabhi masti mei mai baadal ke sang baarish ban kar hu barsaata, phir ban ke kabhi kiran sunahri ambar pe mai hu chhaa jata

Mai pedo pe bhi rehta hu, tehni pe patto sa ugta hu, mai phoolo mei hu kaanto sa, ankur ki jado mei rehta hu

Mai mitti hu ma hi ambar mai hi pawan ka hissa hu, mai himmat hu mai hu darr bhi, mai asafaltaao ka kissa hu

Bas ye hi h afsaana mera jo kr diya hai bayaan tujhse, tu maane ya na maane mai hi mai mujhe ab dikhta hu