Saturday 21 March 2020

Humsafar

Mai chala kuch kadam yunhi, haan shayad bas tehelne nikla tha

Takra gaya tujhse bhi yun hi, haan mai shaayad kuch nayi manzilo ki talaash mei tha

Socha nahi tha ki koi maqsad hai mera, koi irada bhi nahi tha, ye to bas yun hi ho gaya, mai chal pada aur tu raste sa mil gaya

Rasta bhi tu manzil bhi tu, meri dhoop ko yakaayak ek sayya mil gaya

Saaya bhi aisa jo andhero mei ujaala ban jaye, maine tujhse mil kr kuch kahaawato ko haqeeqat mei badal diya

Sab kehte hai mujhse, tere raste se behtar kai aur safar mil jayenge, par mujhko ko bhi bas teri hi zid hai, haan jaanta hu isme chalte chalte dard bhi dost ban jayenge, ghaav kai de jayenge

Par shaayad kuch mukammal sa kr denge wo ghaav mujhko, jo khaali sa rehta hai mujhme, wo darra yahi bhar jayenge, humei humse mila jayenge


Wednesday 18 March 2020

Tu

Thehertay thay thithaktay thay, bade bechain ho kar paanv mere teri aahat pe chalte thay.

Thirakti thi, thumakti thi, badi bebaak si teri paayal mere kaano mei bajti thi.

Kabhi chhan chhan kabhi dhak dhak tu dhadkan si gunjaati thi, kabhi fislan kabhi thokar tu ban ke raah mei aati thi

Tu hi manzil tu hi mushkil, tu kaise khilkhilati thi, tujhe chhoo lu ya mar jau, kyu tu na hal batati thi

Mai hu baitha yunhi toota humari na-umeedo par, tu udti hai ummeedo mei, tu unko par lagati hai

Saturday 29 February 2020

Roop

Aaj baadalo ko garajte dekha maine, bijliyo ko bhi kadkadaate aasmaan mei dekha, bade dino ke baad kisi ko khul ke apni hasti bayaan karte dekha

Ek muskuraahat thi chehre pe aaj mere, taaro ko tasveerei kheechte hue waise hi badaa kam dekha hai

Par Kuch khaas hua hoga aaj shaayad jo baadal bijli baarish sab ek saath mile, kisi ko to jashn mei ek arsay baad magan dekha hai

Koi poochta hai ye kya hua aur koi bayaan nahi kr pa raha ki ye kya hua, ye jaadu hai ya qeher haikudrat ka, mai jashn ka hissa banu ya karu afsos kismat ka

Bas inhi do kono mei maine aaj ek naye safar ko  kuch kuch hai paya, baadal bijli aur baarish ke beech maine dharti ka naya roop hai paya

Friday 7 February 2020

Hashra

Sarpat chalte rasto ko yun yakaayak maine rukte hue huzoor dekha hai

Maano parvat ne roka ho hawaa ka rukh, kuch iss kadar unko majboor dekha hai

Majboori ka naam leke kuch hawaao ko rukh palat te dekha h, sambhal ja ab bhi ae zindagi, ki maine tujhko jhonko se ladkhadaate dekha h

Ladkhada ke jo ruk gaye kadam, maine unko raste talaashte dekha hai, phir dekha hai unn kadmo ko ghutne pe aate hue, maine huzoor unka har hashra dekha hai

Ghutno pe jo aye, maine unhe dua mei dekha hai, jabki ta-umra kaafiri mei unhe madmast dekha hai

Ek varchasv ki talaash mei wo yunhi bhatakte rahe, maine unke aham ko hote beaabroo dekha hai

Koi saaya mil jaye iss dhoop mei, maine chhanv ki talaash mei unhe daudte dekha hai, dekha hai maine kaampte hue unn kadmo ko, raste pe chalte hue unhe dehdahaate dekha hai

Deh jati jo manzil, ek baar phir bhi sabar kar lete, manzoor tha rasto ka dehna bhi, par kadam chhor gaye saath yunhi, kya daastaan honi thi kya hashra hua