Saturday 29 June 2019

Rihaai

Aaj baitha hu intezaar mei kuch khoobsurat lamho kei, kuch lamhe jo khaas ho meri baaho ko, jaise yun hi kabhi tujhe chhoo aaye ho nikal

Wo ghadi h ek jo tik tik krti chalti jati, jitni badhti aas h meri utni hi dheemi padti jati

Shaitaan hai ye samay bhi bas, mujhse athkheli krta hai, wo hai nahi mujhe hai maaloom, phir bhi dil ardili krta hai

Jab pyaar hi pyaar diya maine to phir kaisi ranjish hogi, gar haasil na ho baaho mei tu, benaam si bas mazil hogi

Ranjish na sahi fitrat hi hui, tu ayi na mere seene pe, mera dil ab bhi ye dhadka hai, tere aaghosh ki chhah mei tadpa hai

Ye tadap h bas kuch der ki ab, aa mil ja tu mujhme har su. Aur le mujhko khud mei tu mila

Na mili to koi gham nahi, na tujhko tha, na mujhko bhi yaha, Hum to bas chand musaafir hai yahi keh k kar meri rooh riha

Friday 21 June 2019

Vidambana

Kabhi kabhi yun bhi hota hai, jab jalte jalte thak jata hu mai, Jaise kehte hai uss gaaon mei, diya sa bujh jata hu mai

Kuch tel daalo panaaho mei iski, phir se uski lau jal padegi, fusfusaate hai wo, Agar diya roshan hi na hona chahe, kaun samjhaye inko

Mai ab bhi uss diye sa jale ja raha hu, apne hi pehlu mei andhera paale, dheere dheere bujhe ja raha hu

Unko zarurat hai roshni ki andhero mei aksar, unn andhero ko cheerta mai jiye ja raha hu

Mai diya hu toh jalunga hi, meri khwaahish yaha kisko h pata, wo nikalta hai mere jism se jo dhuan, tere andhero ko mitaane ko jalaa hu mai, apna ye sach kisko du bata

Yunhi khaamosh jalte jalte mai ban baitha hu ujaalo sa, mere andhero ke kisso ko kis roshni mei tujhse karu bayaan

Monday 17 June 2019

Samaanta

Neela samandar neela aakash aur neela padta mai

Aaj pehli baar khud ko samandar aur aasmaan k qareeb paya hai

Wo samandar jo gehrai ke gumaan mei hai, wo aasmaan jo oonchai ki khudai mei hai

Aaj khud unsa dikh k bhi, khud ko unse alag sa paya hai

Na gumaan gehraai ka, na khudai ki zarurat mujhko

Bas ek baar khud mei khud ko dekh lene ki hasrat ko paya hai

Samandar banta hu to dekh hi leta khud mei khud ko ambar sa

Par ambaro ki chaudaayio ko yaha kaun naap paya hai

Wo ambar jo sadaa mujhse upar tha, kshitijo se ishaare krta tha

Uski tasveer mere jazbo p dikhti hai, lehro mei harqat si hoti hai

Par ye tasveere jo banti bigadti si hai, mehmaan hai kuch pal ki bas

Yun hi mit jayegi lehro ke aanchal mei wo, gum hoti dheere se samandar mei namak ki tarah

Kuch kureda thoda to paya maine, Aakhir kab wo oonchaai iss gehraai mei utar paayi h

Kab uss ambar ki bechain shakhsiyat iss shaant samandar mei samaa paayi hai