Friday 26 August 2016

Niyam

Dagmag Dagmag chaal h meri, chalta hu lehrata sa, jagmag jagmag duniya ki kirno se hu andhiyaata sa

Taktak taktak rasta dekhe mitti ki parte baarish ka, jhamjham jhamjham megha na barse, inhe ilm nahi kisi khwaahish ka

Tharthar Tharthar hawa ki cheekhei parvat se jaake takraayei, sannato mei phir ghul jati wo, parvat se na oonchi uth paayi

Gharad gharad wo baadal garje parvat ko dikhaye ithla kar, aa jaye usay neeche choone uski hasti ko jhuthla kar

Ye lehrei bhi samandar ki chalti hai thodi balkha kar, jaise samtal sagar ke paani ke neeche ki zameen pe hulchul ho

Yaha har koi iss kudrat mei jab seedhe raste chalta hai, wo dikhta hai thoda tedha sa jaise apni marzi karta hai

Kudrat ka niyam bhi yahi h bas tu apne raste badhta chal, par niyam to hai insaaano ka jo sab par laagoo hota hai

Teri chaal ho seedhi inka kanoon, tu tedha sa kyu chalta hai,  tu andho ki iss nagri mei ekakul kyu rehta hai

Mai bola to meri zubaan katey, mai na bolu to hriday pisay, mai sochu iske baare mei kaise, mere bheje pe pehre hai lage

Ab shaayad ek hi rasta hai, mai duniya mei ghul mil jau,  phir banke hissa parvat ka chattaane kuch sarka pau

No comments:

Post a Comment