Friday 22 July 2016

Tum

Tak tak tak tak ankhei takti, rasta tera bin jhapke palkein

Tu maut hai ya tu hai jeevan, anjaan bhavishya se kal ke

Manzil na jaane ye aankhei, ye beparvaah si rasto pe rehti

Wo raste jo tujh tak hai jaate, phir bhi hai veeraan se rehte

Wo veerani jisme khushboo hai teri, jaise phool khile ho meelo tak

Wo phool jo hai teri muskaan k jaise, hardam hai rehte khile khile

Aur khila hua hai ambar bhi, sooraj ki garmi mei hai milti narmi

Narmi jaise nanhe bachhe ke haatho ki, gudgudati si bhari ummeedo se

Ummeed jo hai inn aankho ko ki chal niklega tu unn rasto pe jo khatam ho meri panaaho mei, tu maut hai ya hai jeevan ho na parvaah, bas ghiri ho meri baaho mei