Mai behekta
rha kadam ladkhadate rahe, Yun bhi kabhi zindagi zalzalo se ho kar guzari hai
Mai bharam
mei raha ki kudratei mere ishaaro pe hai, Wo chhalti rahi mai hassta raha
Ghaayal hui
ye rooh, chhalni hua mera aasmaan, Fikre gayi dum todke jab bairi hua ye jahaan
Par kyu
mujhe taqleef nahi, kisi dard ka ehsaas nahi, Jism to ab bhi zinda hai, saans
mei shaayad saans nahi
Par dard to
jism ka hissa hai kabhi baahar se kabhi bheetar se,
Phir bhi ye
baat ajab si hai, ki dard to hai par dard nahi
No comments:
Post a Comment