Wednesday 21 November 2012

RAAT


Dhuaan dhuaan si guzarti ye gehri kaali raat, 

phir ek subah ki talaash mei jawaan ho chali h

Khamoshi ko hawaao ke shor mei chupaye, jaane kitni kahaniya bayaan kr chali h

Liye veeraniya apni palko mei, bhari kadmo se be-aahat chal padi h

sunehri kirano ki garmaayi mei khud ko sametne ki khwaahishei liye, 

sard ehsaaso se lathpath apni rooh ko kuch pal sukoon ke dene,

wo kaali andheri sard raat, haan, aaj phir, uss neeli subah ki panaaho ko dhoond-ne nikal padi hai




No comments:

Post a Comment