Saturday 3 November 2012

Aashanka


woh jo khud meri nayi shakhsiyat ban sa chala h... phir kyu mere parivartan se pareshaan ho chala h...

woh jiske pehlu mei aake safar ko mukaam mil gaya... phir kyu kuch kadam dheeme chalne laga h..

ek thehraav woh, musaafir mai, phir aage chal padunga... kyu inn afsaano ko woh sach maan chala h...

kyu ye parde haqiqat ke paardarshi h itne ki saamne ho kar bhi apni maujoodgi darz nahi karate..

Aur kyu yakeen hota bhi h ussay toh sirf anmani aashankaao pe... Jinke maayne ek kshan-bhangur se jyada nahi.

No comments:

Post a Comment