Saturday 3 November 2012

Aarzoo


Der raat kuch fadfadaate pankho ki awaaz se meri need khuli to dekha.... kuch nanhe panchi betahasha udte chale ja rahe thay...

maine poochha toh bole ki savera hone mei der na ho jaye isiliye uski taraf khud hi badhe ja rahe h...

kitni ajeeb si thi unki masoom udaano ki daastaan... thodi haqiqat se lathpath aur thodi armaano se lahu-luhaan...

kuch nazre dhassti hui zameen pe tikaye.. aur kuch pankh uss girte hue aasmaan ki taraf khole...

ab bhi subah ki taraf wo badhte hue nazar aate h.. bekhabar, anjaan apni hi duniya mei pasri veeraniyo se...

No comments:

Post a Comment