Thursday 28 April 2016

Sthiti

Kuch sapne kuch khwaahishe, kuch neende kuch koshishe

Wo raat ki baarishei, wo dhoop savero ki,
Wo hawaayei deti raahatei, wo aasmano ki aahatei

Wo chham chham krti badhti nadiya, wo aaghosh samundar ke, wo jalta sooraj garmi mei, waha chaand jo deta thandak hai

Unn pedo pe patte hare bhare, uss ghaas mei lipti patjhad hai, wo nanhe bachhe ki kilkaari, jhoolo mei kitni hulchal hai

Ek tu baitha hai dur waha, aur mai hu parvat sa ruka hua, ek tu hai rasto ki manzil sa, ek mai hu kshitij pe khada hua

Aa mil ja aur poori kar de inn sab ki khaali ye tasveer, ki poore ab ye nazaare ho aur tasveero mei rang bhare,

iss kadar range tere rang mei sab, har su yaha bas tu hi ho aur tujhme simta hua mai kahi

No comments:

Post a Comment