Monday 4 April 2016

Chaadar

Thak jaati aankhen meri teri hi raah takte takte, kya jaane kis mod pe tu hai kya jaane kis ghadi mei tu

Waqt ka pahiya chalta jata, aankein ektak ruki hui, ghadi ko dekhu mud mud ke mai, kya jaane kaha sui ruki

Tujh bin veeraan si raato mei mai odh mohabbat ki chaadar, karta hu andhere dur yaha, deedaar ko tere diye jala kar

Na thand lage na pyaas mujhe, mai ashqo ko pee leta hu, uss chaadar ko see leta hu

Wo chaadar ek mohabbat ki, jise liye phira mai sadiyo se, jism mei jiske chhed hue, mausam ki badalti neeyat se

Bas badhta hu har pal tujh tak, maine mausam ka rukh mod diya, iss chaadar ko seete seete, ye bhi ek hunar maine seekh liya

Ab aana hai teri galiyon mei, uss sard raah pe chalte hue, apne kaandhe pe tera sar rakh ke, uss chaadar mei tujhe apne sang, chhipa ke phir le jana hai

Le jau tujhe phir dur waha, jaha koi na ho tere mere siwa, jaha mausam na badle neeyat, jaha thandak thodi meethi ho

Aur uss chithdi hoti chaadar se tambu ho bana armaano ka, sukoon ke naye mehmaano ka

No comments:

Post a Comment