Friday 16 December 2016

Na-ummeed

Ek boond kabhi jo paani ki uss dharti se takrayi thi, mitti ki sookhi parto pe seelan si jab gehrai thi, Mehak padi dharti bhi jhat se, hawaa mei khushboo chhayi thi

Patte bhi pedo pe lehrake khushi se jhoome jaate thay, kuch toot toot ke daalo se dharti ko gale lagaate thay

Ambar bhi jaise gehrakar ek rang naya banata tha, aur roshan krne dharti ko wo bijli ke diye jalata tha

Par baarish ka mann tha kise pata wo to balkhati lehrati thi, apne hi husn pe itrati wo muska ke tehli jati thi

Baadal ki god mei baithi wo chal padi samandar ke raste, dharti ko karke waade kal ke, lehro mei mili wo has has ke

Uss dharaa ko kya samjhaye koi, iss kadar luti uski ummeed, bas pathraayi si rehti hai, sookhe patto ka bojh liye

Ab ambar bhi sehma sa kuch dharti ki veerani takta hai, hawaa mei koi mehek nahi, sannato ka asar sa dikhta hai

2 comments: