Tuesday 10 February 2015

Mrit-Aakansha

Mere ghar ke kamro mei pasra itna sannaata kyu hai, charmaraate darwaaze bhi khaamosh se baithe hai

Aangan mei khelti dhoop na jaane kaha ghum ho gayi, tulsi ke khile paudhay ab veeraan se rehte hai

Chabootaro ki wo garm zameen thithurti kyu rehti hai, kabhi sheeshay si saaf zameen ab pathraai si lagti hai

Mere baagon ke phoolon pe ye kaisa patjhad hai mandraaya, ki sard jism se latak rahe hai har tehni aur har shaakh se sab

Pedo pe tange unn jhoolon ko bhi madmast hue ek sadi hui, Ab hawaa hi bas jhinjhorti hai toofaan ka ishaara karne ko


Bas aas ye hai ki kabr mei meri murda jism hi rukhsat ho, kabr ke mere patthar ko zinda hai abhi na barqat ho

No comments:

Post a Comment