Friday 6 December 2013

Baichaini

Har pal na jaane kaun se yun khwaab hu mai dekhta, ek pal mei dharti fatne lagti aasmaa bhi hai ye pighalta

Jab raakh ban jaati hai daldal, garmi badhne lagti harpal, karti bhasm ye aag hai, Kisi mod pe kisi raah pe na jism hai na shwaas hai

Bas rooh ko baichaini hai kuch kuch, khaalipan bas paas hai, kya rooh bhi dekha h khwaab karti jo tootne ka ehsaas hai

Ya ilm nahi hai isko ab tak jism se apni azaadi ka, anjaane se ehsaas bhi aksar baichaini de jaate hai

Ye baichaini hai khone ki kuch ya roop naya ab paane ki, sab dhundla hai ya sheeshe sa koshish khud ko samjaane ki

Jo bhi hai ye kuch to hai ehsaas naya jazbaato mei, jo jalte hai aur bhuj jaate bas yunhi baato baato mei

3 comments:

  1. aur ilm bhi is baat ka ki waqt ke pehlu mein wo baicheni ke badal chat jayenge, aur leke fir ek naya roop yunhi mere jeevan mein aate jayenege

    ReplyDelete
    Replies
    1. This comment has been removed by the author.

      Delete
    2. Aray waah.. tu toh shaayar ho gya cheetay

      Delete